Monday, 26 February 2018
zindagi mai hr cheez hona ka bad agr ap aesi cheez ka pecha bhagty hain to mjha ap ma buht afsos huta hai bczz jo pass hai wo sambhal ni sakhty (hahahhaha) pta asan insan ho hr cheez pta hoti hoti hai kon s cheez meri hai kon s ni phir v apno ko azmata hai apna lya.... aesa q hota hai?? jb koi dosara apko chor kr chala jya phir he apna ke qadar hoti hai??? why? why? i have so many question in my mind....but no one answer me bczz they have no stamina answer my question(hahahhahahahahah) if u have plzz comment me i tell u my all question......
Ankhon main malaal hai Aey dost
Mujko tera khial hai aey dost
Zindagi bewafa hi sehi
Pyar to lazwaal hai aey dost
Hijraton k azaab mosam main
Tumse milna mohaal hai Aey dost
Raat din tuj hi ko main sochta hon
Ab to ye haal hai aey dost
Maal o Dolat k hasool ki khatir
Har soo qatal o qataal hai aey dost
Lakh bura tujko kahe ye dunian
Mgr to be misaal hai aey dost
#tamo # iffi #sanyy #moneeba
Tum Bi Kia Yaad Karo Gay Koi Dost Hoa Karta Tha
Itna Chahne Wal Hmain Koi Dost Hoa Karta Tha
Kitne Haseen Din Thay Kitni Haseen Ratain Thi
Muje Hansane Wala Koi Dost Hoa Karta Tha
Har Pal Sath Dena Mera Har Gham Ko Bantna
Har Dukh Samajne Wala Koi Dost Hoa Karta Tha
Jab Rotho Gi Tu Koi Na Mnaye Ga Tu Socho Gi
Muje Mnane Wala Koi Dost Hoa Karta Tha
Wo Yaad Tu Kia Kary Gi Aksar Aalm-e Tanhai Main Tahir
Muje Tang Karne Wala Koi Dost Hoa Karta Tha
#ssssss u have no idea i misss u sooo much my life
Sunday, 25 February 2018
Kisi Ki Aankh Se Sapne Chura Kar Kuch Nahi Milta
Munderon Se Chiraghon Ko Bojha Kar Kuch Nahi Milta
Hamari Soch Ki Parwaz Ko Roke Nahi Koi
Nae Aflaq Pe Pehrey Bitha Kar Kuch Nahi Milata
Koi Ek Aadh Sapna Ho To Phir Acha Bhi Lagta Hai
Hazaro Khawab Aankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta
Sakon Un Ko Nahi Milta Kabhi Pardes Ja Kar Bhi
Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Kar Kuch Nahi Milta
Use Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ki Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta
Ye Acha Hai Ke Aapas Ke Bharam Na Tootane Paien
Kabhi Bhi Doston Ko Azamaa Kar Kuch Nahi Milta
Na Jane Koun Se Jazabe Ki Yon Taskeen Karta Hon
Bazahir To Tumhare Khat Jala Kar Kuch Nahi Milta
Faqat Tum Se Hi Karta Hon Main Sari Raaz Ki Batain
Har Ek Ko Dastan-E-Dil Suna Kar Kuch Nahi Milta
Amal Ki Sokhti Rag Mein Zara Sa Khoon Shamil Kar
Mare Hamdam Faqat Baten Bana Kar Kuch Nahi Milta
Use Main Pyar Karta Hon To Mujh Ko Chain Ata Hai
Wo Kehata Hai Use Mujh Ko Sata Kar Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaron Se Yahi Awaaz Aati Hai
Kisi Ke Hijr Mein Nendein Ganwaa Kar Kuch Nahi Milta
Jigar Ho Jaye Ga Chalni Ye Ankhein Khoon Roen Gi
Wasi Be-Faiz Logon Se Nibha Kar Kuch Nahi Milta
#my most favrt poet wasi shah
Jab Raat Ki Nagin Dasti Hai
Nus Nus Mein Zehar Utarta Hai
Jab Chand Ki Kirnein Tezi Se
Uss Dil Ko Cheer Ke Ati Hain
Jab Ankh Ke Andar Hi Ansoo
Zanjeron Mein Bandh Jate Hain
Sab Jazbon Pe Cha Jate Hain
Tab Yaad Bohat Tum Aate Ho
Jab Dard Ki Jhan-Jar Bajti Hai
Jab Raqs Ghamon Ka Hota Hai
Khawabon Ki Taal Pe Sare Dukh
Wehshat Ke Saaz Bajate Hain
Gate Hain Khawahish Ki Ley Me
Masti Me Jhomte Jate Hain
Sab Jazbon Par Cha Jate Hain
Tab Yaad Bohat Tum Ate Ho
#sanam(iman) miss u sooo much
Friday, 16 February 2018
Hazaron Dukh Paren Sehna Mohabbat Mar Nahi Sakti
Hai Tum Se Bus Yahe Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti
Tera Har Bar Mere Khat Ko Parhna Aur Ro Dena
Mera Har Bar Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti
Kiya Tha Hum Ne Campus Ki Nadi Par Ek Haseen Wada
Bhaly Hum Ko Parhy Marna Mohabbat Mar Nahi Sakti
Jahan Mein Jab Talak Panchi Chahaktey Urhtey Phirty Hain
Hai Jab Tak Phool Ka Khilna Mohabbat Mar Nahi Sakti
Purane Ah-Had Ko Jab Zinda Karne Ka Khayal Aey
Mujhe Bus Itna Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti
Wo Tera Hijar Ki Shab Main Fone Rakhany Se Zara Pehley
Bahat Rotey Huwe Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti
Agar Hum Has-Raton Ki Qabar Mein He Dafan Ho Jaen
To Yeh Qatbon Pe Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti
Purane Rabton Ko Phir Nae Waade Ki Khawahish Hai
Zara Aik Baar To Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti
Gae Lamhat Fursat Ke Kahan Se Dhoond Kar Laon
Wo Pehron Hath Par Likhna Mohabbat Mar Nahi Saktia
Kio Chup Chup Ho Afsurda Ho
Kia Bat Hay Kio Ranjeeda Ho
Na Hanstay Ho Na Boltay Ho
Koi Dukh Na Hum Say Kehtay Ho
Jo Ghum Hay Hum Say Keh Dalo
Kahay Ko Aziyat Sehtay Ho
Is Jug May Dukh Sukh Dono Hain
Ye Bat To Tum B Jantay Ho
Sub Choro Mazi Ki Batain
Kio Unko Ab Gerdantay Ho
Ab Khush Rehnay Ka Ahed Karo
Ger Dost Humain Tum Mantay Ho
#my most lovely friend
Subscribe to:
Posts (Atom)
Ankhain
Tere jamal se ankhain aim haseen hain meri Tere khayal se dil main chiragh jalte hain
-
A friend is someone who knows all about you and still loves you
-
"My friends are my estate. Forgive me then the avarice to hoard them. They tell me those who were poor early have different views of go...
-
A true friend is the best Possession.