Sunday, 25 February 2018

Kisi Ki Aankh Se Sapne Chura Kar Kuch Nahi Milta Munderon Se Chiraghon Ko Bojha Kar Kuch Nahi Milta Hamari Soch Ki Parwaz Ko Roke Nahi Koi Nae Aflaq Pe Pehrey Bitha Kar Kuch Nahi Milata Koi Ek Aadh Sapna Ho To Phir Acha Bhi Lagta Hai Hazaro Khawab Aankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta Sakon Un Ko Nahi Milta Kabhi Pardes Ja Kar Bhi Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Kar Kuch Nahi Milta Use Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ki Jhalar Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta Ye Acha Hai Ke Aapas Ke Bharam Na Tootane Paien Kabhi Bhi Doston Ko Azamaa Kar Kuch Nahi Milta Na Jane Koun Se Jazabe Ki Yon Taskeen Karta Hon Bazahir To Tumhare Khat Jala Kar Kuch Nahi Milta Faqat Tum Se Hi Karta Hon Main Sari Raaz Ki Batain Har Ek Ko Dastan-E-Dil Suna Kar Kuch Nahi Milta Amal Ki Sokhti Rag Mein Zara Sa Khoon Shamil Kar Mare Hamdam Faqat Baten Bana Kar Kuch Nahi Milta Use Main Pyar Karta Hon To Mujh Ko Chain Ata Hai Wo Kehata Hai Use Mujh Ko Sata Kar Kuch Nahi Milta Mujhe Aksar Sitaron Se Yahi Awaaz Aati Hai Kisi Ke Hijr Mein Nendein Ganwaa Kar Kuch Nahi Milta Jigar Ho Jaye Ga Chalni Ye Ankhein Khoon Roen Gi Wasi Be-Faiz Logon Se Nibha Kar Kuch Nahi Milta #my most favrt poet wasi shah

No comments:

Post a Comment

Ankhain

Tere jamal se ankhain aim haseen hain meri Tere khayal se dil main chiragh jalte hain